knowledge of Pakistan word

knowledge of Pakistan word

189 0 1

Pakistan ka lafz aik alehda Muslim watan ke liye sab se pehley Choudhry Rehmat Ali ne 1933 mein istemal kiya. Us waqt Chaudhry Rehmat Ali Cambridge University ke aik tallib ilm thay. Chaudhry Rehmat Ali ne 28 January 1933 ko “Ab Ya Kabhi Nahi”(Now Or Never) ke naam se aik ketabcha shaya kiya jis mein na sirf aik alehda Muslim Watan ke qayam ki tajweej pesh ki gaye balkey majuza Muslim watan ko Pakiktan ke naam se mousom kiya gaya.Chaudhry Rehmat Ali nay apni tajweej mein Punjab sey “P” suba Sarhad key Afghanon sey “A” Kashmir sey “K” Sindh sey “S” aur Balochistan sey “Tan” ley ker unko apas mein jor ker “Pakistan” banaya. Iss ke baad ye lafz taizi se maqbol hota chala gaya. Hindustan ke mukhtalif alaqon mein na sirf Pakistan ke naam se tanzemein qaim hueinbalke “Pakistan” ke naam se akhbarat o jaraed bhi jari kiya gaya pehla resala 1933 mein Chaudhry Rehmat Ali ne Cambridge ( Britania) sey jari kiya jo Pakistan Qaumi Movement ka terjuman tha.

Brother do not write in Urdu as it is not supported language/ You must write in plain English if you want to continue here on this site.